Tuesday, August 17, 2010

Ek Chote Actor Ki Maut

Sundarlal Sharma Auditorium aaj darshakon se bhara huya tha.

'Goodmorning Sir. Me and my friends are from Blossoms Middle School. We are selling, Chocolates to raise donations for, 'Starve Hunger' Camp at our school. Would you like to buy one?'

Joy - No!

Darwaza bacchon ke munh par band ho gaya.

Shammi - Saala, jo Angrezi ka ratta chadya tha...Kisi kaam ka nahi..Sukhi, agli baar tu hi boliyo.

Sukhi - Munh par darwaza maara hai. Jee, toh karta hai iski chamdi utar kar, iski haddiyon ka Exhibition, Biology Class mein karun........Aye, woh dekh yeh kutta iske Garden mein bandha huya hai....Naresh, patthar le kar aa.

Ek dardnak cheekh gunzi. Joy ka garden, laal ho gaya. Joy, bhaaga huya aaya. Bacche jaa chuke the. Apne, kutte ki laash ko baahon le kar rone laga.

Joy - Kabhi - Kabhi, sabse kamzor....Sabse gehra ghaw de jaate hain.


Poora Auditorium taaliyon se gunz utha. Phoolon ki kalmein, hawa mein tairti huyi, Joy ka Role kar rahe Ashok ke pairon mein girne lagin. Parda band ho gaya.

Vishwa - Mr. Mittal, he is an fantastic actor.

Mittal - I know, Mr. Vishwa....I know.

Backstage, mauhal abhi shaant tha. Bawanda ke aane se pehle ki shaanti hawa mein thi.

Abhimanyu - Chaa, gaya kaminey......Chaa gaya...Kya, Performance di!

Parde ke peeche chal rahi iss tareef ke saath ab bahut kuch hone waale tha. Armani ke suit ki chamak ne Ashok, Abhimanyu,Uday ko chaunka sa diya.

Mittal - Well Done Mr. Ashok. What an exceptional play! I am Narayan Mittal and this is J.K. Vishwa. We are from M&V Industries......Let me not waste mine and your time....I want to buy this auditorium.

Ashok ko kaato toh khoon nahi.

Ashok - Jee, Yeh mere Pitaji ki yaad mein.......

Vishwa - Ghar aayi Lakshmi ko nahi thukarate...Yeh joote jaante hain kitne ke hain? Pachas Hazar, Made In China....Real Snake Skin..Saanp ki chamdi utar kar banaye hain. Bas, tumhe yeh Auditorium bechna hai, phir dekho saanp jaisi hari chamdi waale noton mein soyoge.

Mittal - We will....Infact I will make you an actor in Bollywood. Think about all the fame, money, power, stardom. People dream of it, You will experience it. Just sign this Contract. You are just one signature away from Heaven.

Ashok maano putle ke saaman wahan khada huya tha. Munh se kuch bol nahi nikal rahe the. Par, uske doston ko jubaan ko abhi tala nahi laga tha.

Abhimanyu - Iss, Auditorium ke saath toh Jhuggi waale rehte hain.

Vishwa - Tod denge.

Ashok ki aankhon mein khoon utar aaya. Uske kaampte haathon ne Contract uthaya aur do bhaagon mein vibhajit kar diya.

Ashok - Auditorium....Baba ki aakhiri nishani thi.

Mittal ke kadam darwaze ki taraf chal pade.

Vishwa - Apni, Photo par haar taangne ki taiyari kar le.

Uday - Woh, nahi maanega.

Abhimanyu - Bulldozer pakka aayega.

Ashok - Humme, Morcha uthana hoga.

Jhuggi - Basti waalon ke saath mil kar, Ashok aur uske doston ke kadam, M&V Industries ki taraf badh gaye.

Dopahar ka sooraj, aasman mein chamakane laga tha. Dharna abhi bhi chal raha tha. Par, Mittal ki aankhein aur nahi dekh saktin thin.

Mittal - Hello, Police Station......

Vishwa ke kadam Industry ke Gate paar kar ke, Ashok ke saamne aa ruke.

Vishwa - Tera baap toh mar gaya...Saale, ab hume bhookhe maarega kya?

Vishwa ka haath ghuma aur Ashok ka munh surkh laal ho gaya.

Ashok - Main, paise ikktha kar ke tumhe de dunga.

Vishwa - Tere paas do Kidney hain.......Ek Bech de.

Ashok - Yeh, mere hak ki ladai hai. Par, main kutta nahi hun joh doosre kutton se apni roti ke liye cheena - jhappati kare. Hum, yahan tab tak baithe rehenge jab tak hume humara hak nahi mil jaata.

Vishwa - Toh, apne aap ko goli maar le beta. Kyunki, tera hak kab ka Minister dwara sign kar diya gaya hai...Tujhe, kya laga?...Sarkari zameen par, Illegal tareeke se Auditorium bana lega..Do din hain..

Ashok ki aankhon mein paani bhar aaya. Is se pehle uske dost usse, sambhalte Siren ki awaz se mauhal garam ho gaya. Police ke sipahi laathi charge karne lage. Logon, mein afra - tafri mach gayi.

Uday - Ashok, uth.

Ashok abhi bhi wahin baitha raha. Abhimanyu aur Uday kisi tarah usse utha kar laane mein kamyab huye.

Uday - Paisa...Corruption..Corrupt log apne Desh ke saath - saath khud ko toh bech hi chuke hain. Ab, toh Sarkar ko Casinos mein logon ko ek dusre ka cheer haran bhi karne dena chahiye. Apne, bacchon ko maar kar un par se School ka bojh khatam karna chahiye..

Abhimanyu - Shaant Reh... Dekh, Ashok tu apni Performance par dhyaan de. Yeh shayad tera aakhiri Show hai. Yeh, Show hum khaas Charity ke liye kar rahe hain. Apni, nahi toh un Jhuggi waalon ki toh kuch madad kar paayein.

Ashok - Yeh le...Auditorium ka kagaaz. Shayad, yeh mere se zada tere haath mein rehne ka hakdar hai. Darwaza toh band ho hi chuka hai. Ab, koi chabbi nahi chalegi.

Abhimanyu kuch bola nahi. Bas, usne apne dost ko gale se laga liya. Parda uth gaya. Aur, Ashok, Nirav mein badal gaya.

'Nirav Shah...Zindabad'

Nirav - Yeh desh kahan tha. Ab kahan ho gaya hai. Aaj ka Youth badal gaya hai. Aaj, Change ki zarurat hai. Main koi krantikari nahi hun. Par, apne jaise College ke liye meri hi zarurat hai. Main, vaada karta hun sabko sabka sampooran adhikaar milega. Ragging ki jad hi ukhad di jaayegi. Eve Teasing ko band kiya jaayega. Inn sab mein mujhe aap sab ki zarurat hai. Aur, aapko meri. Vote, mujhe hi dein.

Youth ki bheed mein naare aur zor lene lage.

Peter ke pair daudte huye, Nirav tak pahunche. Aur, Nirav ke kadam wahan se seedha, Hostel ke 400 kamre mein pahunch gaya. Kamra, Ransa ka tha.

Ransa - Aayie, Neta Sahab! Kya lenge? Whisky, ya Desi hi peeyenge.

Nirav - Kaam ki baat bhaunk.

Ransa - Toh, Neta Ji aaj ki taza khabar yeh hai ki aap Election se withdraw kar rahe hain. Youth ko garam khoon chahiye.

Nirav - Khoon hai? Toh bahao. Par, tum kyun bahaoge? Baap, M.P. hai. Paise de kar Election jeetoge. Tere, Election jeetne par kuch nahi hoga. Cheating badhegi. Eve Teaser, Canteen mein chai ki chusiyan lagayenge. Tu khud ek problem hai..Apne, Corrupt baap ki tarah.

Ransa - Mere, paas Maa hai.

Ransa ne jeb se bandook nikal, Nirav par taan di. Ek dhamaka huya. Aur, Nirav ka shareer shaant sa zameen par gir gaya.


Nirav ka Role kar rahe Ashok ka shareer sunn sa zameen par pada raha. Darshakon mein taaliyon ki awaz aur gehri hoti chali gayi. Ransa ka role, Play kar rahe Actor ke chehre par hawayein udne lagin...Ashok, ki Shirt se beh kar, Stage laal ho rahi thi...Abhimanyu, bhaga huya Stage par aaya...Ashok ke paas padi goli ko dekh kar woh sab mazra samajh gaya.

Abhimanyu - He is Dead........Tu, ghabra mat tujhe kuch nahi hoga. Tune, isse nahi maara.

'Ram Naam Sat Hai' ke naare sadak par gunz rahe the. Ashok ki laash lete huye, uske dost shamshaan ki taraf jaa rahe the. Abhimanyu ki aankhon mein sab se zada ansu the. Apne, Dost saman Bhai ki arthi woh kandhon par utha ke le jaa raha tha.

'Rukiye, aap aage nahi jaa sakte.'

Abhimanyu - Jee, hum shamshaan jaa rahe hain.

'Wapis, mud jaayie Sahib! Mr. Mittal ki Car yahan se guzarne hi waali hai..Aaj, woh apni Company ki Franchise launch karne jaa rahe hain.'

Uday - Ab?

Ashok ki laash ko waapis, auditorium ki stage par laa kar rakh diya gaya.

Abhimanyu - Aaj, aakhiri show dekh lo.

Abhimanyu, Seat par jaa kar baith gaya. Itne, mein jhuggi waale, Ashok ki laash par aa kar phool barsane lage.

Abhimanyu - Woh, mar chuka hai.

'Humare, liye toh Devta hai Sahab. Hum logon ko naye ghar diye jaa rahe hain. Sab, aap logon ke chande ki wajah se.'

Abhimanyu - Meri, nahi...Sirf, uski wajah se...Ab, tum log jaayo, Bulldozer kisi bhi pal yahan aa sakta hai..

Uday - Main, bhi rukta hun.

Abhimanyu - Tu, nikal...Main kuch der yahan akela baithna chahta hun.

Uday aur Jhuggi waale chale gaye.

Abhimanyu, Stage ki taraf aaya aur Ashok ki laash ko gale laga rone lage.

Abhimanyu - Maaf, karna Dost...Khoon se range inn haathon se antim sanskar kar raha hun. Apne, haathon se tere sapnon ka gala ghont diya.

Abhimanyu ne, Lighter nikala aur Stage par aag laga di. Aankhon mein ansu liye woh darwaze ki taraf chal pada. Jalti chita ke saath, Ashok ke armaan bhi dhuaan ban kar ud rahe the. Bulldozer ki awaz paas aa chuki thi.

No comments:

Post a Comment